Powered By Blogger

Saturday, April 20, 2013

Kabhi-Kabhi

Abhi Delhi se wapas aate huwe mere Dil mai ye khayaal aaaya....
Agar agar Delhi mai "Metro" na hoti to kaya hota....
Rozana 20-22 lakh logo ka saafar itna aasaan na hota...
Dhoop aur garmi se bachna itna aasaan na hota....
Aur manzil tak samay se pahunchana itna aasaan na hota....

Agar Delhi ki C.M Sheila Dixit ji na hoti to kayaa hota...
Delhi Totally electrified state na hota....
Delhi ki sadke itna chamkili nahi hota......
Delhi mai itna flyover na hote......
Delhi ki jindagi mai itna raftaar na hota.....

So, Delhi ko crime ka state ya kharaab  kahne se pahle hame 10 baar sochana chahiye. Agar ek masoom ladki ke saath Jayadati huwi hai to usse puri Insaaniyat Sharmsaar huwi hai na ki Only Delhi, Kisi bhi system ko Dosh(criticize) karne se pahle hame khud ko badalna hoga,Aur ye Kasam khaani hogi ki Hum na to crime ya corruption mai participate karenge Balki apne saamne hone bhi naa denge. Delhi hamesha se hi "Dildaar" rahi hai Aur aage bhi rahegi. Aaj hamare Desh mai har kone mai Women ke saath jayadati ho rahi hai Aur unki aawaaj uthane wala koi nahi. Ye to Shukr hai Delhi Aur yaha ke logo ka, jiski Aawaaz mai itni takat hai ki Hukumat(government) ko bhi Hila ke rakh deti hai. But kisi bhi jurm ko rokane ke liye Shuruwaat(start) hame hi karni hogi. Warna Kanoon kaisa bhi bana le kuch farq nahi padta.Aur yahi hoga...

"Umar(age) bhar Ghalib, yahi bhool karta raha'
Dhool(send) Chehare(face) per thi Aur aayina(mirror) saaaf karta raha"

No comments:

Post a Comment