Powered By Blogger

Friday, April 19, 2013

Troy(Why?)

"Troy" What a brilliant movie.....Mujhe Hector ka role sabse accha laga , But mujhe ye movie dekhkar ek cheej ka ehsaas huwa ki Sirf apni Mohabbat ko paane ke liye Jung jayaj hai kaya? Agar haa to kuo? Jisme hazaroo lakho logo ki jaano ki kurbaani ho...Agar aesi mohabbat puri ho bhi gayi to kaya fayada jis mohabbat ki ibaarat itne logo ki shahadat se likhi ho....Mohabbat ko sirf wa sirf Mohabbat se jeeti ja sakti hai....Kisi bhi Inshaan ko kabhi itna selfish nahi banana chahiye ki Apni Mohabbat ko pura karne ke liye doosroo ke bhi jaan Daav per laga de.Agar hum kisi ko jaan de nahi sakte to sirf apni wajah se unka jaan Daav per lagane ka hame adhikaar nahi.....Iss moovie mai Paris(Jo Hector ka chota bhai hai) Ki waajah se hazaroo lakhoo logo ki jaane jaati hai, uska bhai,uska father sab jung mai maare jaate hai....Iss movie mai mujhe Achilles(Brad Pitt) ka role bada confusing laga.Agar kisi ka role mujhe pasand aaaya to wo Hector ka tha.jo ek perfect Brother,Son,Husband,Father,Warrior Aur ek Accha Insaan bhi tha....Kul milakaar Movie acchi thi but mujhe ye movie dekhkar satisfaction nahi huwa...Agar sirf jung se jeet hashil ki jaa sakti to hum aaj tak Mahatma Gandhi aur Nelson Mandela ko yaad nahi rakhte...Inhone itni badi jung Ahinsha(non violence) Aur mohabbat se jeeti....So theek hi kaha gaya hai "Jung Gooliyoo se nahi Dil se jeeti jati hai"

No comments:

Post a Comment